FBR On Big Mission ( Non-Filers Taiyar Ho Jao )

Jesa ka aap ko Pata he ho ga ka Pakistani Government na Non-Filers Ki New Gariya Lena par Pabandi laga Di hai . Jis ka Bad Gariyo ki Sales mai kami ayi hai aur Toyota Company na Islamabad High Court mai aik Petition bi dayar ki hai aur kaha hai ka iss pabandi ko khatam kiya jaya .

Related Article : FAW XPV Power Edition Launched in Pakistan | Price ( 2019 )

Tu Aab News Aa rahi hai ka FBR Non-filers ko Filers mai convert karna ka liya kuch new karna wali hai . News ka Mutabik FBR un Logo ko Filers hona ka liya bola gi jin logo na Pichala 2 saal mai 15 lac sa mehangi car khareedi hai . ya News pakistani News Channel par bi btayi Gayi hai .

News ka Muatbik FBR Department of Excise and Taxation aur local car manufacturers sa Un Logo ka Data Collect kar rahi hai jin Logo na Last 2 Years mai 15 lakh sa mehangi car khareedi hai .  Jab Ya sara Data Collect ho jaya ga tu FBR in Sab Logo ko aik Notice Send kara gi Jia mai in Logo ko Filers banana ki Hadiyat ki jaya gi . agar Ya log Filers na bana Tu in Logo ka khalif karwayi ki ja sakti hai .

Mazeed ya bi pata Chala hai ka FBR na Pehla he Kuch aisa logo ko Notice beja hain jin ka pass luxury cars majood hain lakin wo abi tak filers nayi howa . Un sab Logo ko Filers hona ki Hadiyat ki gayi hai . Aap ka Khayal mai FBR Thek kar rahi hai  ? Nicha Comment kar ka Iss Bara mai Zaroor Btayain .

Comment Below 👇!!!!!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *