Suzuki Alto Pakistan Na New Record Bana Liya

Tu Jesa ka aap sab Logo ko Pata ha ka Pakistan main Jab Suzuki Mehran ka Band hona ki Khabar ayi the tu sab log yahi bol raha tha ka suzuki Mehran ka band hona ka bad suzuki company pakistan main doob sakti hai q ka Suzuki Mehran Suzuki Company ki Sab sa Zayada Sale hona wali Car the .

Aur Jab Suzuki Mehran Pakistan main band howi aur Suzuki Alto ko Pakistan main Launch kar diya gya tu tab bi log yahi Bol raha tha ka Suzuki Alto Pakistan main Fail ho Jaya gi q ka suzuki alto Ki Price kafi zayada hai .

Lakin Jesa Jesa Wakt Guzarta gya waisa waisa pakistan main Suzuki Alto ki Sales main azafa hota gya .

Suzuki Alto 2019 Prices
Suzuki Alto 2019 Prices

Aur Aab Tu Last Month Suzuki Alto na Suzuki Mehran ka Record bi Break kar diya hai. September 2019 main Suzuki Alto ka 4,924 units pakistan main sale howa hain jo ka suzuki mehran ka sa bi zayada hain . Suzuki mehran ka pakistan main jo record tha wo 4684 units tha .

jab Sa Suzuki Alto Pakistan main Launch howi hai Tab sa aab tak Pakistan main Suzuki Alto ki Price 2 baar zayada ho chuki hai . Lakin hairaat ki bat hai ka suzuki alto ki sale kam hona ki bajya zayada ho gayi hai .

In sales ka saaf matlab yahi hai ka suzuki alto bohat sa logo ko pasand aa rahi hai . Tu aap Logo ko New Suzuki Alto Kesi car lagti hai . Iss Bara main Btana ka liya Nicha Comment Zaroor Karain .

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *